Tohfa-e-Nikaah Part - 79

Miyaan Biwi Ke Darnniyaan Koi Doosra Shakhs Ikhtilaaf Paida Karne Ki Koshish Na kare

Bahot si martaba miyaan biwi ke darmiyaan jhagde ki koi aisi baat nahein hoti, jo un ke ta'alluqaat mein bigaad ka sabab bane, lekin kuch log un ke darmiyaan ghus kar galat fehmiyaan paida kar dete hain aur ek ki baat doosre tak pahoncha kar chugalkhori karte hain aur unhein ladaane ki koshish karte hain. Aakhir kaar un mein alaahidgi ho jaati hai, agar koi shakhs aisi harkat kare to miyaan biwi ko chaahiye ke woh aqalmandi ka muzaahira kerein aur us ki baaton ko koi ehmiyat na dein, balke un mein se jis ke paas woh chugalkhori karne aaye, to use chaahiye ke woh us ka munh band karde aur aainda ke liye un ke muaamlaat mein taang adaane se sakhti se mana kare, chugalkhori karne waaLa aur miyaan biwi ko ladaane waala aadmi shaitaan hota hai, use apne is bure kaam se tauba karni chaahiye.

Rasoolullah ﷺ ne chugalkhor ke baare mein yeh irshaad farmaaya: Chugal khor Jannat mein daakhil nahin hoga. (Muslim: 290)

Share on: Telegram | WhatsApp