Tohfa-e-Nikaah Part - 80

Miyaan Biwi Mein Naa Ittifaaqi Ho, To Aapas Mein Sulah Kar Lena Chaahiye

Miyaan biwi ki zindagi hamesha ek haalat par qaaim nahein rehti, balke us mein mukhtalif mod aur utaar chadhaao aate rehte hain, lihaaza aise mauqon par jahaan tak ho sake, donon ko ek doosre ka lihaaz karte huwe aapas hi mein samjhauta kar lena chaahiye aur donon ko khuda se darte huwe ek doosre ke huqooq ikhlaas aur aapasi khair khawaahi ke saath ada karte rehna chaahiye.

Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaate hain: Aur agar kisi aurat ko apne shohar ki taraf se ziyaadti ya bezaari ka andesha ho, to un miyaan biwi ke liye is mein koi muzaaiqa nahein ke woh aapas ke ittifaaq se kisi qism ki sulah kar lein aur sulah kar lena behtar hai. (Sura-e-Nisa: 128)

Share on: Telegram | WhatsApp