Tohfa-e-Nikaah Part - 81

Bahu Ki Khidmat Ki Qadr Karein

Nikaah ho jaane ke baad biwi apne maa baap, bhai bahen aur poora khaandaan chhod kar apne shohar ke ghar aati hai, is ghar mein us ke liye har shakhs ajnabi hota hai, ab use poori zindagi isi ghar mein guzaarna hai, pehle hi din se bahu yeh koshish karti hai ke mere shohar ke ghar ka har fard mujh se kis tarah khush ho jaaye aur mujhe bhi apne hi ghar ka fard samajhne lage, is ki khaatir woh apne shohar se lekar saas, khusr aur nand tak ki khidmat apni zimmedaari na hone ke bawajood dil o jaan se karti hai aur unhein apna banane ke liye har kaam ko behtar se behtar tareeqe par waqt se pehle anjaam dene ki bharpoor koshish karti hai, lihaaza ghar waalon ko chaahiye ke woh bahu ki is khidmat ki qadr karein aur us ka behtar se behtar badla dene ki koshish karein, us ki khidmat ki ta'areef karke us ka dil khush rakhein aur ghar ko khushgawaar banane ke Liye Rasoolullah ﷺ ne jin huqooq ki taaleem di hai, un par amal karke ghar ko aabaad karein.

Share on: Telegram | WhatsApp