Tohfa-e-Nikaah Part - 82 Final Part

Apni Aulaad Ko Jahannam Se Bachaao

Maa baap ki yeh zimmedaari hai ke woh bachchon ko deeni taaleem dein, un ki behtareen tarbiyat karein, un ko Islaami akhlaaq wa aadaat sikhaayein, un ke aqaaid wa khayaalaat ko durust karein, unhein sunnat wa shari'at ke mutaabiq zindagi guzaarne ki targeeb dein, un ke andar aakhirat ki fikr paida karein, saat saal ki umr mein unhein namaaz padhne ki taakeed karein aur das saal ki umr ho jaaye, to namaaz na padhne par un par sakhti karein, taake woh qayaamat ke maidaan mein Allah ki pakad aur jahannam ke azaab se bach jaayein.

Qur'aane Kareem mein Allah Ta'ala farmaate hain: Aye Imaan Waalo ! apne aapku aur apne ghar waalon ko (Jahannam ki) aag se bachaao, jis ka eindhan Insaan aur patthar honge. (Sura e Tahreem: 6)

Hazrat Ali (RA) farmaate hain: Apne ghar waalon ko jahannam ki aag se bachaane ka matlab yeh hai ke un ki tarbiyat karo aur un ko taaleem do. (Tafseer ibne Kaseer: 8/167)

✺ Alhamdulillah Completed ✺

Share on: Telegram | WhatsApp