Jannat Part - 32

HUZUR صلی الله عليه وسلم NE FARMAYA:
''MERI QABR AUR MERE MIMBER KE BICH KI JAGAH JANNAT KE BAGO ME SE EK BAAG HAI''

TO HUZUR KE MUBARAK HUJRE AUR MIMBER SHARIF KE DARMIYAN KI JAGAH HAQIQAT ME JANNAT KE BAGO ME KI EK KIYAARI HAI, AUR QAYAMAT KE DIN WOH JAGAH FIRDAUS-E-A'ALA ME MUNTAKIL HO JAYEGI AUR YEH JAGAH ZAMEEN KI DUSRI JAGAHO KI TARAH FANAA AUR HALAAK NA HOGI.

Madarijunnubuwwah-9, Pg-116

MUSHRIKIN KI NA-BAALIG AULAD JIN KI BAALIG HONE SE PEHLE MAUT AA GAYI WOH SHIRK TAK NAHIN PAHONCHE THE JIS TARAH SE UNKE WALIDAIN PAHONCHE HAI, ISLIYE WOH JANNAT ME HONGE AUR WOH AHLE JANNAT KE KHADIM HONGE.
(Wallahu Aa’alam)

Kanzul Ummal -39306

LOG JAB QABRON SE UTHENGE TO QAYAMAT KE DIN UNKI ZUBAN "SURIYANI" HOGI AUR JAB JANNAT ME DAKHIL HO CHUKENGE TO ZUBAAN "ARBI" HOGI.
                               
Albadurussafurah -21806

JAB JANNATI JANNAT ME DAKHIL HO CHUKEGA TO ALLAH FARMAYENGE:
''KOI AUR NE'AMAT CHAHTE HO TO ME TUMHE ATAA KARU..?''

WOH ARZ KARENGE:
''KYA AAP NE HAMEN JANNAT ME DAKHIL NAHIN KIYA.? AUR DOZAKH SE NAJAAT NAHIN BAKHSI.? HAMEN KYA HO GAYA HUM KYUN RAZI NAHI HONGE..! JAB KE AAP NE HAMEN ITNA NAWAZA HAI KE APNI MAKHLUQ ME SE ITNA KISI KO NAHIN NAWAZA''

FIR ALLAH TA'ALA FARMAYENGE:
''ME TUMHE IS SE AFZAL NE'AMAT ATAA NA KARU..?''

JANNATI ARZ KARENGE:
''IS SE AFZAL NE'MAT KAUNSI HAI..?''

FIR ALLAH TA'ALA PARDE HATAYENGE, TO JANNAT WALO KO AISI KOI NE'MAT NAHIN DI GAYI JO UNKO ALLAH KE DEEDAR SE ZIYADAH MEHBUB HOGI. WOH ALLAH TA'ALA SHANUHU KO US KE NOOR WA AZMAT WA JALAAL SAMET ZIYARAT KAR SAKENGE. YEH PARDA MAKHLUQ KA APNA HOGA, NA KE ALLAH TA'ALA KE SAMNE HOGA.

A'ALA DARAJAH KA JANNATI ALLAH KI SUBAH WA SHAM ZIYARAT KAREGA.

ALLAH TA'ALA JANNAT ME MO'MININ KI TARAF MUSHKURATE HUWE TAJALLI FARMAYENGE. FIR ALLAH FARMAYENGE:
''ME AAP SAB KO APNI RAZAA AUR KHUSNOODI ATAA KARTA HUN. AB KE BAAD TUM PAR KABHI NARAZ NAHIN HOUNGA''

Mafhum- Ibne Hibban

JO HAZRAAT, ALLAH TA'ALA KI ZIYARAT AUR TAJALLI KE MAZEED TAFSILI HAALAT KA MULAHEZA KARNA CHAHE TO WO "HAFIZ IBNE QAYYIM RH." KI KITAB "HAADUYUL ARWAAH" KA BAAB NUMBER-65 MULAHEZA FARMAYEN.


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp