Jannat Part - 33

JANNAT KI KUNJI (key) KALIMAH

“LAA ILAAHA ILLALLAH”
JANNAT KAFL (taale/locks) KI KUNJI HAI, LEKIN HAR KUNJI KE LIYE DANDANO (daanto) KA HONA ZARURI HAI, AGAR KUNJI HAI AUR DANDANE NA HO TO KAFL NAHIN KHUL SAKTA,

ISI TARAH AGAR KALIMA E TAUHID KE SAATH A'AMAALE SAALIHA NA HO TO JANNAT KA KAFL KHULNA BHI MUSHKIL HAI.

Bukhari fee Tarjumatul-baab

PANCH (5⃣) A'AMAAL AISE HAI KE AGAR KOI AADMI EK DIN ME UN PANCH PAR AMAL KAR LE TO JANNATI LIKH DIYA JAYEGA.

1] KISI BIMAR KI IYADAT KARNA.

2] JANAAZAH ME SHAMIL HONA.

3] US DIN KA ROZAH RAKHNA

4] JUMAA KE LIYE JALDI TAYYARI KARNA

5] EK GULAM AAZAD KARNA.

Mafhume Hadis Majmauuzzawaed 2: 169)

JO KOI INME SE KISI EK PAR AMAL KAREGA TO ALLAH US KA ZAAMIN HOGA.

1] KISI BIMAR KI IYADAT KARNA

2] JANAAZAH KE SAATH JANA.

3] ALLAH KI RAH ME GAAZI BANNA.

4] KISI IMAAM WA AMEER KE PAAS FAQT US KI TA'AZIM KI NIYYAT SE JANA.

5] APNE GHAR ME IS NIYYAT SE BETHA RAHAA KE LOG US SE SALAMAT RAHE OR WO LOGON SE SALAMAT RAHE.

Mafhume Hadis Musnad Ahmed 5: 241

AISE A'AMAAL JO JANNAT ME DAKHIL KAR DE.

AGAR CHE BAAT MUKHTASAR KI HAI MAGAR US KA MAQSAD TAWEEL HO.

JAAN KO AAZAD KAR OR GARDAN CHHUDA. (Jaan aazaad karne ka matlab yeh hai ke aazad karne me tu akela ho aur jaan chhudane ka matlab yeh hai ke tu uski qimat me sharik ho)

AGAR TUJH ME US KI TAAQAT NA HO TO BHUKE KO KHANA KHILA, PYASE KO PAANI PILA, NEKI KA HUKM DE AUR BURAAI SE MANAA KAR.

AGAR US KI BHI TAQAT NA HO TO APNI ZUBAN KO KHER KE ALAWAH TAMAM BATON SE ROK DE.

Mafhume Hadis Musnad E Ahmad 4: 299

JIS SHAKHS KI AISI HAALAT ME MAUT AAYI KE USKA YAQEEN AUR AE’TEQAD IS AMR (baat) PAR THA KE – SIWAYE KHUDA KE KOI MA’ABUD NAHI HAI TO WOH SHAKHS JANNAT ME DAKHIL HOGA.

Muslim

JO SHAKHS AZAAB SE BACH KAR SHURU ME HI JANNAT ME JANE KA KHWAHISMAND HAI TO USKO A'AMAALE SAALIHA KI BE-HAD ZARURAT HAI, DOZAKH SE BACH KAR JANNAT ME CHALE JANA HI HAQUIQUI KAAMYABI AUR FALAAH HAI.

AHLE JANNAT KO JANNAT KI BASHARAT, A'AMAALE SALEHA KI TAFSIL “HAZRAT MAULANA ASHRAF ALI THANWI RAHMATULLAH” KI KITAAB “JANNAT KI KUNJI” KA MUTA’ALA FARMAYE.


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp