Jannat Part - 34

Hz. Mufti Imran ismail memon sahab
(Ustaze darul uloom rampura,  surat gujarat, india)
Likhte hai ke


ALLAH TA’ALA FARMATE HAI:

AAO..! JANNAT KI KITNI NE'AMATEN BATAAUN !

KITNA NAAZIL KARUN..!

NABI صلی الله عليه وسلم  KI ZUBAANE MUBARAK SE KITNA KEHLVAAUN..!

AB TO AE BANDE ! TERE LIYE YEH DO JAME'A AAYAT KAAFI HAI.

QUR'AN KI AAYAT KA MAFHOOM HAI KE:

“JANNAT ME HAR WOH CHEEZ MILEGI, JIS KI NAFS AUR DIL KHAWAHISH KAREGA. AUR HAR WOH CHEEZ DEKHNE KO MILEGI JIS KO DEKHNE ME LAZZAT AUR MAZAA AATI HO”

Surae Zukhruf  Paarah 25 Aayat 71

DUSRI AAYAT KA MAFHOOM HAI:

“JANNAT ME JO TUM MAANGOGE WOH MILEGA”

Surah E Haameem Sajda Para 24 Aayat 31

IN DO AAYATON ME INSAN KE WAHAMO-GUMAAN, KHAWABO-KHAYAAL KI AUR DUNIYA KI HAR MAZE KI CHEEZ AUR TAMAAM NE’AMATEN AA JATI HAI. AUR TAMAAM TAMANNAYEN PURI HO JATI HAI.

TUMHARE ANDAR MAANGNE KI AUR KHAWAHISH KARNE KI KITNI TAAQAT HAI BOLO..!

AAWAAZ KARO ! HAR CHEEZ WAHAAN FOURAN HAZIR HAI..!
BAS DUNYA ME REHTE HUWE GUNAAH KAR KE FANAA HONE WALE MAZE CHHOD DO..!! TO YEH MAZE AUR IS SE BADH KAR NA FANAA HONE WALE TAMAAM MAZE JANNAT ME UDAAOGE.

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

 Hz. Mufti Muhammad Adil Usmani sahab
(Ustaze darul uloom ashrafiya rander, surat gujarat, india)
Likhte hai ke


MUHTARAM DOSTO OR BUZURGO, AB TAK HUM NE JANNAT KE BAARE ME JO KUCH JAANA YE SIRF MA'AMULI AUR HALKI SI JHALAK HAI. WARNA JANNAT KI NE'AMATON KA SAHIH ANDAZAH TO WAHAAN JAA KAR HI HOGA. DUNIYA ME KISI INSAAN KE BAS KI BAAT HI NAHI KE WOH JANNAT KI NE'AMATON KO BAYAAN KARE.

WAHAAN ALLAH NE AISI AISI NE'AMATEN RAKHI HAI JO AANKHO NE KABHI DEKHI NAHIN HOGI, KAANO NE KABHI US KA TAZKERAH SUNA NAHIN HOGA, AUR DIL ME KABHI US KA KHAYAAL NAHIN AAYA HOGA.

YEH TO RASULULLAH صلی الله عليه وسلم KA HUM PAR AHSAAN HAI KE AAP NE HAMEN YEH CHAND NE'AMATEN BAYAAN KI, TAAKE HAMEN IS KE HAASIL KARNE KA SHAUQ AUR RAGBAT PAIDA HO.

HUM APNE RAB KI IBAADAT VA MA'AREFAT KE ZARIYAH US KO RAAZI KAREY AUR WAHAAN KI DAAEMI (hamensha ki) NE'AMATON KA APNE AAP KO MUSTAHIQ BANAAE.

HAQ TAALA APNE FAZL WA KARM SE HAMEN YEH NE'AMATEN ATAA FARMAE AUR JANNAT ME A'ALA WA BAALA MUQAAM NASIB FARMAYE.

( AAMEEN )


Verified By Ulama-e-Ekram
Share on: WhatsApp