- Oonchi jagah par chadte huwe padhein:
Arabic: اَللهُ أَكْبَرْ
Allaahu Akbar
Tarjama: Allah sab se bada hai.
(Bukhari: 2993)
- Neeche utarte huwe padhein:
Arabic: سُبْحَانَ اللهِ
Subhaan Allaah
Tarjama: Allah ki Zaat Paak hai.
(Bukhari: 2993)
- Chheenk Aane Par Kahein:
Arabic: اَلْحَمْدُ لِلَّهِ
Alhamdulillaah
Tarjama: Tamaam Ta'areefein Allah ke liye hain.
(Bukhari: 6224)
- Chheenkne waale ko yeh jawaab dein:
Arabic: يَرْحَمُكَ اللهُ
Yarhamukallaah
Tarjama: Allah Tum par Raham kare.
(Bukhari: 6224)
- Kisi kaam ke karne ka iraada zaahir karein to kahein:
Arabic: اِنْ شآءَاَللهُ
In Shaa Allaah
Tarjama: Agar Allah ne Chaaha.
(Sura-e-Kahaf 18: 24)
- Koi Cheez Achchhi Lage to Yeh Dua Padhein:
Arabic: مَاشَآءَاللهُ
Maashaa Allaah
Tarjama: Jo Allah Chaahe.
(Sura-e-Kahaf 18: 39)
- Kisi baat par Ta'ajjub ho to yeh Dua padhein:
Arabic: َاَللهُ أَكْبَرْ، سُبْحَانَ اللهِ
Allaahu akbar, Subhanallaah
Tarjama: Allah sab se bada hai, Allah ki Zaat Paak hai.
(Bukhari: 6218)
- Koi Takleef Pahonche Ya koi Cheez gum ho jaaye to kahein:
Arabic: إِنَّالِلَّهِ وَإِنَّآ إِلَيْهِ رَٰجِعُوْنَ
Innaa lillaahi wa innaa ilaihi raaji'oon
Tarjama: Beshak ham Allah hi ke liye hain aur ham ko usi ki taraf laut kar jaana hai.
(Sura-e-Baqarah 2: 156)
- Jab Gussa Aaye to Padhein:
Arabic: أَعُوْذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ
A'oozubillaahi minashshaitaanir rajeem
Tarjama: Main shaitaan mardood se Allah ki panah chaahta hoon,
(Tirmizi: 3452)
Share on: