Allah Ta'ala ka irshad hai (Tarjama): Aur tum hargiz jaan na dena magar musalmaan hone ki haalat mein. (Sura-e-Aale Imraan 3: 102)
✺ Lihaaza hamein apne Aqaaid, Ibaadaat, Muaamlaat, Muaasharat aur Akhlaaqiyaat wagaira zindagi ke tamaam shobon ko Islam ke saanche mein dhaal dena chaahiye. Isi mein hamaari kaamyaabi aur najaat hai, kyun ke Allah Ta'ala ne Islam hi ko hamaare liye bataur-e-deen ke pasand kiya hai. Islam ke alaawa jitne bhi mazaahib hain sab baatil aur mansookh hain. Ab qayaamat tak Islam hi rahega. Har insaan ki najaat aur kaamyaabi Islam hi mein hai. Isi ko ikhtiyaar karne par paakeeza zindagi ka waada hai aur Jannat mein daakhle aur behisaab rizq ki khushkhabri hai.