Aaj Ki Hadees |
Hadees: Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum mein se koi apne doosre bhaai ki lakdi aur chhadi bhi (bagair ijaazat) na le, na hi mazaaq mein aur na hi lene ke iraade se. Aur agar kisi ne le liya ho, to us ko waapas kar de. (Tirmizi: 2160) |
Matlab yeh hai ke lakdi aur chhadi jaisi maamooli cheez bhi ijaazat ke bagair nahin lena chaahiye, hatta ke hansi mazaaq mein bhi aisa na kare. Aur agar kisi ki koi cheez galti se leli hai, to us ko waapas kar dena chaahiye, yeh nahin samajhna chaahiye ke yeh to ek maamooli cheez hai is ko waapas karne ki kya zaroorat hai.