⭕AAJ KA SAWAL NO. 991⭕
Shabe meraaj me ibadat karna bidat kyun ?
so jane se achachha ibadat karna karna kyun nahi ?
AAJ KA JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
*(msg 990 se aagey)*
*USKE BARABAR KOI AHMAQ (bewaquf) NAHI*
Fir Sarakar e Do Aalam sallallahu alaihi wasallam ke dunya se tashreef le jane ke baad 100 saal tak Sahaba e kiram Razi Allahu anhum Dunya me maujood rahe, is poori Sadi (100 years) me koi ek waqia aisa sabit nahi hai , jis me Sahaba e kiram Razi Allahu anhum ne 27 rajab ko Khaas ahtemam kar ke manaya ho, jo Cheez Huzoor Aqdas sallallahu alaihi wasallam ne nahi ki aur jo aap sallallahu alaihi wasallam ke Sahaba ne nahi kiya usko deen ka hissa qarar dena ya usko Sunnat qarar dena ya uske sath Sunnat jaisa Mamla karna BID'AT hai, agar koi shakhs ye kahe ke me (Ma'azallah) Huzoor sallallahu alaihi wasallam se ziyada janta hu ke kaunsi raat ziyada fazeelat wali hai ya koi shakhs ye kahe ke Sahaba e kiram Razi Allahu anhum se ziyada Mujhe Ibadat ka zauq hai, agar Sahaba ne ye amal nahi kiya to me usko karunga, uske barabar koi ahmaq nahi.
*BANYE SE SAYANA SO BAULA*
Hamare walid Hazrat Mufti Muhammad Shafi' sahib Qaddasallahu Sirrahu farmaya karte the ke Urdu me ek Misaal aur kahawat hai jo Hindustan ke andar mashhoor thi ab to log uske Maayne bhi nahi samajhte , wo ye ke:
"BANYE SE SAYANA SO BAULA"
Yani jo shakhs ye kahe ke me Tijarat me Banye se ziyada hoshyaar hun, me usse ziyada tijarat ke Gur janta hun to haqeeqat me wo shakhs BAAULA yani PAGAL hai, is liye ke Banye se ziada tijarat ke gur janne wala aur koi nahi hai, ye to aam Zarbul misaal ki baat thi.
*SAHABA E KRAM SE ZIYADA DEEN KO JANNE WALA KAUN?*
Lekin jahan tak deen ka talluq hai , haqeeqat ye hai ke Sahaba r.d., Tabaeen aur Tabe Tabaeen deen ko sab se ziyada janne wale, deen ko Khoob samajhne wale, deen par Mukammal taur par amal karne wale the, ab agar koi shakhs ye kahe ke me unse ziyada Deen ko janta hun ya unse ziada Deen ka zauq rakhta hu ya unse ziyada Ibadat guzar hu to haqeeqat me wo shakhs pagal hai, wo deen ki Fahem nahi rakhta.
*WO DEEN ME ZIYADTI KAR RAHA HAI*
Ab agar koi shakhs is Roze ka ahtemam kare to wo Deen me apni taraf se ziyadti kar raha hai aur Deen ko apni taraf se ghad raha hai. Lihaza is nuqte e Nazar se Roza rakhne Jaiz nahi.
Haan! Albatta agar koi shakhs aam dino ki tarah isme bhi Roza rakhna chahta hai to rakh le , iski mumaniyat nahi, lekin iski ziyada FAZEELAT samajh kar, isko SUNNAT samajh kar, isko ziyada mustahab aur ziyada Ajr o Sawab ka Mujib samajh kar is din Roza rakhne, ya us Raat me Jaagna durust nahi, balke BID'AT hai.
ISLAHI KHUTBAT
و اللہ اعلم
Mufti Imran Ismail Memon.
Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india