May 22, 2017
Daily Islamic Message (DISM)
Aaj Ki Hadees |
♡ Hadees: Huzoor (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya tum mere tareeqe aur mere hidaayat yaafta khulafaa-e-Raashideen ke tareeqe ko laazim pakdo, mazbooti ke saath us par jame raho aur daanton se us ko dabaaye rakho. (Abu Dawood: 4607) ☆ Sahaaba-e-Kiraam (Raziyallahu 'Anhum) is Ummat ke sab se afzal log hain, woh hamaare rahbar aur rehnuma hain, un ki zindagi badi paakeeza aur shareeat ke mutaabiq thi, Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) jo hukm dete woh log fauran us ko baja laate, Islam ke khilaaf koi amal un ko gawaarah na tha, agar koi kaam shareeat ke khilaaf dekhte to fauran us par nakeer karte the. Sahaaba mein Hazrat Abu bakar (Raziyallahu 'Anhu), Hazrat Umar (Raziyallahu 'Anhu), Hazrat Usman aur Hazrat Ali (Raziyallahu 'Anhu) ka martaba bahot buland tha, yahi chaaron Aap (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ke baad khaleefa bane, unhon ne apni zimmedaariyan bade achchhe dhhang se nibhaayein, saltanat ka bahot achchha intizaam kiya, Allah ke sachche Deen ko saari duniya mein phailaane ki koshish ki, woh makhlooq ke saath shafqat narmi aur hamdardi ka muaamla karte the, khud bhi Islam ke ek ek hukm par amal karte aur doosron ko bhi amal karaate the, hamein chaahiye ke un ki seeraton ko padhein taake hamein un ki zindagi ke haalaat maaloom hon aur us ki rehnumaai mein zindagi guzaar sakein.
|