Tohfa-e-Nikaah Part - 11

Nikaah Karna Ambiya Ki Sunnat Hai

Nikaah insaan ki ek fitri zaroorat hai, is mein bahot saare deen wa dunya ke faaide hain, yahi wajah hai ke nikaah ka riwaaj shuru din se raha hai, aur yeh Ambiya Alaihi Salaam ki sunnat bhi hai.

Qur'aan-e-Kareem mein Allah Ta'ala farmaate hain: Haqeeqat yeh hai ke ham ne Aap se pehle bhi bahot se Rasool bheje hain aur unhein biwi bachche bhi ata farmaaye hain. (Sura-e-Ra'ad: 38)

Is Aayat se maaloom huwa ke Ambiya ne shaadiyaan ki hain. Lihaaza nikaah ek fitri zaroorat hone ke saath Ambiya ki sunnat bhi hai.

Share on: Telegram | WhatsApp