*HAM BISTARI KE WAQT QIBLAH RU HONA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.948 ⭕
kya Ham bistari aur istinjaa ke waqt qiblah rukh aur pith karna manaa hai?kis taraf rukh kar ke sohbat aur;istinjaa karna chahiye?
AAJ KA JAWAB
Hambistari-suhbat ke karte waqt hattal imkaan is baat ki koshish karni chahiye ke qiblah ki taraf rukh ya per na ho kyun ke ye makrooh hai suhbat ke waqt pith karna mana nahi han makan ki tangi ki wajha se ya aur kisi uzr ki wajha se qiblah ki taraf rukh ya pithh karna suhbat aur istijaa ke waqt bhi makrooh nahi.
و اللہ اعلم
FATAWA QASMIYAH 23/46
BA HAWALA F.MAHMOODIYAH 14/397 DABHEL
Mufti Imran Ismail Memon.
Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india