HARAAM AMDANIWALON KI NOKRI

⭕AAJ KA SAWAL NO. 949⭕

Jin logon ki amdani haraam hai un ke yahan nokri karna jaiz hai ya nahi?
isee tarah un ko apni koi chhez bech kar un se paisa lena kesa hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jin ki amdani bilkul khalis haraam hai jaise sood lena,music ka saaman bechna wagairah to un ke yahan nokri jaiz nahi aur jo tankhaa us me se milti hai woh halal nahi.
isee tarah apni cheez un ke hath bechkar usee male haraam se qeemat lena bhi halaal nahi.
han jin logon ki amdani-aawak shakwali ya haraam aur halal mix-miljuli ho yani haraam cheez bhi bechte hai aur halaal cheez bhi lekeen halaal cheez zayada bechte hai ya haraam ke sath dusra halal karobar bhi hai aur us ki aamdani zayada hai us waqt un ke yahan nokri karna aur apni cheez un ke hath bechna jaiz hai basharte ke tankhaa ya qeemat halaal mal se den ya us maal se den jis me halaal zayada ho agarche aesa pesa taqwe ke khilaf hai (yani aesa pesa lene se bachna taqwa aur behtar hai)

📗JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1/249

و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india